SAMARPAN

he samrath parmata, he nirgun nirankar.
tu karta hai jagat ka, tu sabka aadhar.

kan kan me hai bas raha, tu sabka aadhar.
teen kaal hai satya tu,mithya hai sansar.

ghat ghat vasi he prabhu, abinasi kartar.
daya se teri ho sabhi, bhav sagar se paar.

nirakar sakar tu, jag ke palanhar.
hai bey,ant mahima teri, data aparmpar.

param pita parmatma, sab teri santan.
bhala karo sabka prabhu sabka ho kalyan.

Comments

Popular posts from this blog

AVTAR VANI

Saade keete ne vaare niyare

SANT NIRANKARI MISSION